Sunday, September 11, 2011

meri maa




Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne

Jab bhi maa ka naam liya,
Os ka beshomaar pyar paya hai mai ne

Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne

Jaagti rahi who raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne

Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howi gumrah mai
Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne

Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
Aisa farishta paya hai mai ne

Meri har fiker ko janne wali,
Mere jazbaaton ko pehcanne wali,
Aisi hasti payi hai mai ne

Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne
Badnaam Zamane Me Mohabbat Nahi Karte
Dil Wale Toh Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte
Ek Baar Jise Chaha Sadaa Ussi Ke Rahe Phir
Hum Amanat Me Qiyanat Nahi Karte
Tanhiye Me Karte Hain Yaad Aanso Bahakar
Zahir Phir Hum Apni Ibadat Nahi Karte
Waqt Aane Pe Yeh Maloom Hojayega Tumhe
Hum Sirf Dikhawe Ki mohabbat Nahi Karte
Likhte Hain Faqat Tumhare Liye Ghazalein
Har Shaqs Pe Hum Aisi Inayat Nahi Karte